1.Barish ka qatra seepi or sanp dono k muu mein girta hey, jab k sanp usay zeher bana deta hay, or seepi usay moti, Jiska jesa zarf wesi uski takhleeq.
2.Main jannat k shoq main ibadat nahi karta k ye ibadat nahin tijarat hai, Main dozukh k khof se ibadat nahin karta k ye ibadat nahin ghulami hai, Main ibadat sirf iss liye karta hon k mera RUB ibadat k layaiq hai.
3.Ghareeb wo hai jis ka koi dost na ho.
4.Agar tum kisi ko chota dekh rahe ho, to tum use door se dekh rahe ho, Ya phir gharoor se dekh rahe ho.
5.IKHTIYAR, TAAQAT aur DOULAT, aisi cheezain hain jin k milnay say log badaltay nahin BAYNAQAB hotay hain.
6.Wo gunah jis ka tumhein ranj ho, Allah k nazdeeq us nayki se behtar hai jis se tum main ghuroor paida ho jaye.
7.Insan dukh nahin detay,insanon se wabasta ummeedain dukh deti hein.
8.kisi ki madad kartay waqt us k chehray ki janib mat daikho, ho sakta hay us ki sharminda ankhain tumharay dil main gharur ka beej bo dain.
9.Buaree main kisi ka sath dena Ghatiyapan aur khuda ky sath badiyanti hay.
10.maaf karna sub se ziada usey zeb deta hai jo saza dene per qadir ho.
11.thora dene per sharmao nahi qk khali hath lotana ALLAH ko pasand nahi.
12.Ikhtiar ,taqat,Aur Doulat milnay per log badaltay nahin.....bal k Benaqab hotay hain.
13. chizon ka ahtraam karo: ustaad. waaldain. buzurg.3 chizon ko sath rakho sahaai .emaan.naiki 3 chizon ko yaad rakho ashaan .nasehay .maut 3 chizon k ley laro . watan. izat. haq
14.Tum acha kro or Zamana tum ko bura samje ye tmrare Haq main behtar ha. bjaye iss k,k tm bura kro or zamana tmko Acha samje.
15.Kabhi apne dost ka Imthan na lo, kya pata us wqt wo majboor ho aor Tum aik Acha Dost kho Betho.
16.Kabhi Agr tum kisi ko Dua main mango Phir wo Tum ko na mily Tu ye Jan lo k Kahin koi aor Tumhain apny "Rub" se mang raha ho, aor us ki Muhabat main Tum se Ziada Shidat ho.
17.Dunya Us ko Yateem samjhti hai jis k Maan Baap na hoon, lekin main us ko Yateem samajhta hoon jis k Achy Dost na hoon.
18.Bura Dost Koily ki Manind hota hai agr Jalta hoga tu Aap ko Jala de ga,, aor agr Bhuja ho ga to Aap ke Hath Kaly kar dega.
19.Jahan Sadaqat aor Khuloos Naza Aye wahan Dosti ka Hath Barhao Warna Tumhari Tanhai Tumhari Bahtreen Sathi hai
20.Insan Apni Toheen Muaf kar sakta hai Bhool Nahee Sakta.
21.Kabhi na Girna Kamaal Nahee Balk Gir ke Sambhal Jana Kamal hai.
22.Har Insan ki Izat aor Us se Muhabbat karo, Q k har Insan K Andar Khuda ki Koi na Koi Siffat Zaror Moujood hoti hai.
23.Jis Darakht Ki Lakdiyan Naram hongi us ki Shakhain Ziada Hongi, Bus Naram Tabiat aor Naram Guftar Ban jao Taky Tumhare Dost Ziada Hoon.
24.Khush Mizaji Hameesha Khoubsorti ki Kami ko Poora kar Deti hai, Lekin Koobsorati Kush Mizaji ki Kami ko Pora nahee kar sakti.
25.Kisi ko tum chahoo aor wo tumhe thukra day tu ye us ki Badnasibi hai, Koi tumhain na chahy aor Tum usay Zaberdasti apna banana chahoo tu ye Tumhary nafs ki Zilat hai.

Mon Oct 24, 2011 10:00 am by shah
» EK SHAKHS
Mon Oct 24, 2011 9:35 am by shah
» What is pyaar
Mon Oct 24, 2011 9:12 am by shah
» Where is everybody???
Sun Aug 14, 2011 10:53 am by Abbas_haider05
» Hani here
Sun Aug 14, 2011 10:53 am by Abbas_haider05
» Happy Ramadan
Wed Aug 10, 2011 4:48 pm by Hani
» Sab say bara sandwich
Wed Aug 10, 2011 4:37 pm by Hani
» asalamoalekum
Tue Mar 23, 2010 12:23 am by shahidsultanshah
» Har Gham Say Hifazat ہر غم سے حفاظت
Fri Apr 17, 2009 9:55 am by Mian Shahid